• Source:JND

RIP Munawwar Rana: Renowned Urdu poet Munawwar Rana passed away on January 14 in Lucknow at the Sanjay Gandhi Post Graduate Institute of Medical Sciences. According to his daughter Somaiyya Rana, he was on a ventilator for the last six days. He was one of the most popular Urdu poets in India and published several ghazals, nazm and shayari in his career. His most popular shers are based on his love for his mother and his work has been published in English as well. Take a look at some of his best ghazal, shers and nazm to remember his legacy.  

1. Ishq Hai To Ishq Ka Izhaar Hona Chahiye

ishq hai to ishq ka izhar hona chahiye
aap ko chehre se bhi bimar hona chahiye

aap dariya hain to phir is vaqt ham khatre mein hain
aap kashti hain to ham ko paar hona chahiye
aire-ghaire log bhi padhne lage hain in dino
aap ko aurat nahin akhbar hone chahiye

zindagi tu kab talak dar-dar phiraegi hame
Tuta-phuta hi sahi ghar-bar hona chahiye

apni yadon se kaho ik din ki chhutti de mujhe
ishq ke hisse mein bhi itvar hona chahiye

2. Mere School

Mere school meri yadoon ke paikar sun le
main tere vaste roto hu barabar sun le

Tere ustadon ne mehnat se padhaya hai mujhe
teri benchon ne hi insaan banaya hai mujhe

Na-tarashida sa hiira tha tarasha tu ne
zehn-e-tarik ko bakhsha hai ujala tu ne

Ilm ki jhiil ka tairak banaya hai mujhe
Khauf ko chhin ke bebak banaya hai mujhe

Tujh se shafqat bhi mili tujh se mohabbat bhi mili
daulat-e-ilm mili mujh ko sharafat bhi mili

Shafqate aisi mili hain mujhe ustadon ki
parvarish karta ho jaise koi shahzadon ki

Teri chahat mein main is darja bhi kho jaata tha
teri benchon pe hi kuchh der ko so jaata tha

3. Maa

Bulandiyo’n ka bada se bada nishan Chhua
Uthaya god me Maa ne tab aasmaan chhua

Kisi ko ghar mila hisse me ya koi duka’n ayi
Mai ghar me sabse chota tha mere hisse me Maa ayi

Bulandi der tak kis shaks ke hisse mein nahi rehti hai
Bahut unchi imaarat har ghadi khatre me rahti hai

Bahut ji chahta hai kai’de jaa’n se ham nikal jaye
Tumahri yaad bhi lekin isi malbe me rahti hai

4. Safed Sach

Us ki ungliya hamesha sach bolti hain
bada yaqeen tha use apni ungliyon par
un ke sachche hone par bhi bada naaz tha
vo hamesha apni ungliyo ko
baaton baaton mein chuum leti thi

Ek din nadaani mein us ne
apni ungliyan mere honthon par rakh din
us din se us ki ungliyaan sach nahin boltin
sirf jhooth bolti hain

5. Bikhari

Us ki banai hui har tasvir
Akhbaron ki khabar ban jaati hai

Us ki har panting ko inamat lalchai hui nazron se dekhte hain
us ke brush se rangon ka rang khil jaata hai

Vo qudarat ke har nazaare ko
apne rang aur brush se qaid kar leta hai lekin

Us ki biivi ki kokh mein
koi tasveer nahi hoti

Us ke brush se angan ki kilkariya na-vaqif hain
shayad is musavvir se
Kainat ka sab se bada musavvir naraz hai